Ahmad Ali Barqi Azmi

ro paDa na-gahan muskurane ke baad

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
ro paḌā nā-gahāñ muskurāne ke ba.ad
yaad aa.ī bahut us kī jaane ke ba.ad
merī āñkheñ khulī kī khulī rah ga.iiñ
vo nazar aayā jab ik zamāne ke ba.ad
ruuh parvar thā is kā ye tarz-e-amal
ruuTh jaanā dobāra manāne ke ba.ad
dil ko dil se milātī hai ye dil-lagī
us kā honā pashemāñ satāne ke ba.ad
talḳh-o-shīrīñ hai rūdād-e-dil-bastagī
munkashif ye huā āzmāne ke ba.ad
shaḳhsiyat kā mirī ban gayā ek juz
mere qalb-o-jigar meñ samāne ke ba.ad
hai ye 'barqī' hasīnoñ kī fitrat kā juz
va.ada kar ke na aanā bulāne ke ba.ad
Top Urdushayar.com