Ahmad Ali Barqi Azmi

tha jo mere zauq ka saman aadha rah gaya

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
thā jo mere zauq kā sāmān aadhā rah gayā
bahr-e-dil meñ ishq kā tūfān aadhā rah gayā
maiñ idhar bechain huuñ aur vo udhar hai muztarib
dāstān-e-ishq kā unvān aadhā rah gayā
chand lamhe ba.ad hī aa kar vo ruḳhsat ho gayā
us se milne kā thā jo armān aadhā rah gayā
us kī tasvīr-e-tasavvur hai nazar ke sāmne
ḳhāna-e-dil meñ jo thā mehmān aadhā rah gayā
tishna-e-takmīl hai mere savāloñ kā javāb
maiñ samajhtā thā jise āsān aadhā rah gayā
ibn-e-ādam kī kabhī puurī nahīñ hotī havas
vo samajhtā hai abhī sāmān aadhā rah gayā
ilm zāhir aur bātin lāzim-o-malzūm haiñ
jo na samjhe us ko vo insān aadhā rah gayā
apnī apnī sarhadoñ se haiñ sabhī nā-mutma.in
chiin aadhā rah gayā jāpān aadhā rah gayā
sab kī Daflī hai alag aur sab kā apnā raag hai
shaiḳh aadhā rah gayā aur ḳhaan aadhā rah gayā
nāqidoñ ke darmiyāñ hai in dinoñ mauzū-e-bahs
'mīr' aur 'ġhālib' kā jo dīvān aadhā rah gayā
sher likh saktā nahīñ jo kar rahā hai is kī sharh
sher-fahmī kā thā jo ruj.hān aadhā rah gayā
kah rahā hai jis kī nazroñ meñ barābar haiñ sabhī
is amīr-e-shahr kā farmān aadhā rah gayā
hai kabhī niime darūñ vo aur kabhī niime barūñ
aadmī kā āj-kal īmān aadhā rah gayā
ik jhalak dikhlā ke apnī jo kabhī lauTā nahīñ
us ke 'barqī' hijr meñ be-jān aadhā rah gayā
Top Urdushayar.com