Ahmad Ali Barqi Azmi

amn-o-sulh-o-ashti ho jaise bimari ka nam

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
amn-o-sulh-o-āshtī ho jaise bīmārī kā naam
hai siyāsat ahd-e-nau meñ ek ayyārī kā naam
in kā zāhir aur bātin dekh kar aisā lagā
pārsā.ī jaise ho shāyad riyā-kārī kā naam
jo zamāna saaz haiñ, haiñ sab ke manzūr-e-nazar
hai taġhazzul meñ tarannum aaj fankārī kā naam
gardish-e-hālāt se hai band jin kā nātiqa
vo zabān-e-hāl se lete haiñ bekārī kā naam
hai girānī kā vo aalam al-amān o al-hafīz
Darte haiñ lete hue ab sab ḳharīdārī kā naam
shoḳhi-e-guftār meñ kah jaate haiñ vo kuchh se kuchh
dostī in kī nazar meñ hai dil-āzārī kā naam
pur-masarrat zindagī hai aaj kal ḳhvāb-o-ḳhayāl
hai zabāñ par in dinoñ sab kī azā-dārī kā naam
kyā kushūd-e-kār kī 'barqī' koī sūrat nahīñ
sab ke hai vird-e-zabāñ ab sirf dushvārī kā naam
Top Urdushayar.com