hinsā ke pahle mujhe phir rulā gayā ik shaḳhs
fasāna kah ke fasāna banā gayā ik shaḳhs
dikhā ke ek jhalak apnī chashm-e-mai-gūñ se
mai-e-nashāt ye kaisī pilā gayā ik shaḳhs
kahūñ to kaise kahūñ ik ajiib manzar thā
nigār-ḳhāna-e-hastī sajā gayā ik shaḳhs
ḳhalish sī uThtī hai rah rah ke qalb-e-muztar meñ
thā kaisā tīr-e-nazar jo chubhā gayā ik shaḳhs
na jaane aa gayā dām-e-fareb meñ kaise
thā sabz baaġh jo mujh ko dikhā gayā ik shaḳhs
thī jis se sham-e-shabistān-e-zindagī raushan
jilā ke sham-e-mohabbat bujhā gayā ik shaḳhs
meñ us ko dekh ke hosh-o-havās kho baiThā
jab aayā hosh meñ uTh kar chalā gayā ik shaḳhs
ḳhumār jis kā abhī tak hai sar meñ 'barqī' ke
sharāb-e-shauq kā chaskā lagā gayā ik shaḳhs