kaun hai kis kā ye paiġhām hai kyā arz karūñ
zindagī nāma-e-gumnām hai kyā arz karūñ
de ke vo da.avat-e-nazzāra jahāñ phir na milā
ye vahī jalva-gah-e-ām hai kyā arz karūñ
zindagī us ne badal kar mirī rakh dī aisī
na mujhe chain na ārām hai kyā arz karūñ
hasrat-o-yās kā maskan hai mirā ḳhāna-e-dil
suunā suunā ye dar-o-bām hai kyā arz karūñ
aage pīchhe hai mire ek masā.ib kā hujūm
aaj nākāmī bahar-gām hai kyā arz karūñ
merī qismat meñ likhī tishna-labī hai shāyad
us ke hāthoñ meñ bharā jaam hai kyā arz karūñ
jab se vo ḳhāna-bar-andāz hai sargarm-e-amal
jis taraf dekhiye kohrām hai kyā arz karūñ
sub.h-e-ummīd kab aa.egī na jaane 'barqī'
muztarib dil ye sar-e-shām hai kyā arz karūñ