Ahmad Ali Barqi Azmi

bimar-e-mohabbat ki dawa aur hi kuchh hai

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
bīmār-e-mohabbat kī davā aur hī kuchh hai
kuchh aur hī samjhe the huā aur hī kuchh hai
'āzād' kī tahrīr kā andāz alag hai
'iqbāl' ke naġhmoñ kī navā aur hī kuchh hai
is ahd meñ har-samt hai ik ālam-e-mahshar
hai dil meñ jo ik hashr bapā aur hī kuchh hai
be-sūd qafas meñ hai har āsā.ish-e-duniyā
parvāz ko āzād fazā aur hī kuchh hai
jazbāt meñ iḳhlās se baḌh kar nahīñ kuchh bhī
be-laus mohabbat kā mazā aur hī kuchh hai
fan-pāre meñ hai pās-e-rivāyat bhī zarūrī
tahrīr kā uslūb nayā aur hī kuchh hai
hai karb kā ehsās jo jiine nahīñ detā
nā-karda gunāhī kī sazā aur hī kuchh hai
zāhid kī riyā-kār ibādat se hai afzal
allāh ke bandoñ kā bhalā aur hī kuchh hai
sīrat meñ hai jo husn vo sūrat meñ nahīñ hai
pākīzgī-o-sharm-o-hayā aur hī kuchh hai
be-maut bhī marne pe vo kar detā hai majbūr
nazroñ meñ hai jo tez qazā aur hī kuchh hai
mahdūd hai shāhoñ kī gadāoñ pe navāzish
bandoñ pe ye in.ām-e-ḳhudā aur hī kuchh hai
yuuñ to haiñ mashāhīr-e-suḳhan shohra-e-āfāq
'barqī' kī alag tarz-e-adā aur hī kuchh hai
Top Urdushayar.com