vo bhuul gayā mujh se barsoñ kī shanāsā.ī
lamhoñ ne ḳhatā kī thī sadiyoñ ne sazā paa.ī
hālāt kā ab maiñ huuñ ḳhāmosh tamāshā.ī
bhaa.ī se taḌaptā hai milne ke liye bhaa.ī
tasvīr tasavvur hī bas ek sahārā hai
furqat ne banā Daalā us kī mujhe saudā.ī
jazbāt the be-qābū kartā bhī to kyā kartā
us rashk-e-gul-e-tar kī jab yaad mujhe aa.ī
yādoñ ke jharokoñ se hasrat hai use dekhūñ
pahle thā jo āñkhoñ kī merī kabhī bīnā.ī
vo dekhnā muḌ muḌ kar us kā mujhe hasrat se
baaqī na rahī merī jab quvvat-e-goyā.ī
jo tār-e-rag-e-jāñ par har-vaqt ġhazal-ḳhvāñ thī
ras gholtī hai ab bhī kānoñ meñ vo shahnā.ī
duzdīda-nigāhī meñ kho jaatā thā dil jin kī
un jhiil sī āñkhoñ kī yaad aa.ī hai gahrā.ī
detā hai koī dastak aa aa ke dar-e-dil par
kaaTe nahīñ kaTtī hai 'barqī' shab-e-tanhā.ī