chal rahe haiñ vo aisī shaan se aaj
jaise aa.e hoñ āsmān se aaj
āstīñ meñ jo un kī thā kal tak
tiir niklā hai vo kamān se aaj
sham.a ke ird-gard parvāne
haath dho.eñ na apnī jaan se aaj
apnā sab kuchh luTā ke hosh aayā
shaiḳh-jī mil rahe haiñ ḳhaan se aaj
gul khilā.enge kyā abhī kuchh aur
lag rahe haiñ vo mehrbān se aaj
kar rahe haiñ jo vāda-e-fardā
phir ga.e apnī vo zabān se aaj
na miTā de vo un kā nām-o-nishāñ
aah niklī hai jo zabān se aaj
bhuul baiThe haiñ apnī jo auqāt
gir paḌeñ vo na āsmān se aaj
kah rahe haiñ vo aa ke 'barqī' se
jaao niklo mire makān se aaj