Ahmad Ali Barqi Azmi

na samjhe koi us se dushmani hai

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954

na samjhe koī us se dushmanī hai

mirī ik kam-suḳhan se dostī hai

sabhī ke kaam aa.e ibn-e-ādam

yahī dar-asl husn-e-zindagī hai

jise paḌhnā ho is meñ paḌh le sab kuchh

khulī merī kitāb-e-zindagī hai

mire kis kaam aisā samundar

lab-e-sāhil bhī jis ke tishnagī hai

ho rūdād-e-zamāna jo maz.har

vahī dar-asl rūh-e-shā.erī hai

mire dil par hai jis hukmarānī

abhī us meñ adā-e-kam-sinī hai

hai jis aaj girvīda zamāna

jahān-e-rañg-o-bū ye aarzī hai

ajam tarah hai gūñgā arab bhī

ye us maslahat be-hisī hai

nahīñ fursat tan-āsānī se us ko

alam-añgez ye ādam-kushī hai

bapā hai hashr se pahle mahshar

kahīñ duḳhtar kahīñ mādar paḌī hai

koī shatranj-bāzī meñ hai mashġhūl

kisī jaan par apnī banī hai

duā-e-ahl-e-ġhazza sun le yārab

musībat ye ik aisī ghaḌī hai

unheñ hai sirf terā sahārā

jahāñ bhaa.ī se bhaa.ī ajnabī hai

agar is meñ ho 'barqī' ādamiyat

farishtoñ se bhī afzal aadmī hai

Top Urdushayar.com