Ahmad Ali Barqi Azmi

sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
sukūn-e-qalb kisī ko nahīñ mayassar aaj
shikast-e-ḳhvāb hai har shaḳhs kā muqaddar aaj
hai vaz-e-hāl mirī kyuuñ ye bad se bad-tar aaj
amīr-e-shahr ke badle hue haiñ tevar aaj
har ek shaḳhs hai apne hisār meñ mahsūr
hai sab ke dar-pa.e-āzār vo sitamgar aaj
kiyā hai gardish-e-daurāñ ne dar-ba-dar sab ko
jo sar meñ pahle thā vo paañv meñ hai chakkar aaj
samajh rahā thā jise ḳhair-ḳhvāh maiñ apnā
vahī hai dushman-e-jāñ merā sab se baḌh kar aaj
fasīl-e-shahr ke andar the kitne ahl-e-hunar
nahīñ hai jin se shanāsā koī bhī bāhar aaj
dikhā rahā hai mujhe sabz baaġh jo 'barqī'
vo le ke phirtā hai kyuuñ āstīñ meñ ḳhanjar aaj
Top Urdushayar.com