insāniyat na jis meñ ho vo aadmī nahīñ
jis meñ huzūr qalb na ho bandagī nahīñ
jis meñ junūn-e-shauq na ho āshiqī nahīñ
dil kā mo.āmla hai koī dil-lagī nahīñ
rahtā hai mere darpai-e-āzār phir bhī vo
us se agarche merī koī dushmanī nahīñ
rātoñ kī niiñd din kā sukūñ ho gayā harām
pūchhā jo kab miloge to bolā kabhī nahīñ
ḳhvābīda hasratoñ kā na ho jis meñ in.ikās
hai kārgah-e-shīshagarī shā.irī nahīñ
us kī sharāb-e-nāb se baḌh kar hai chashm-e-mast
jis ke baġhair lutf-e-mai-o-mai-kashī nahīñ
naqd-e-suḳhan jo kartā hai vo ho suḳhan-shanās
jauhar-shanās ho na agar jauharī nahīñ
'barqī' jo ḳhud-shanās hai vo hai ḳhudā-shanās
gum-gashtagī-e-hosh-o-ḳhirad be-ḳhudī nahīñ