jise aanā hai milne ke liye vo aa hī jaatā hai
na aanā ho to va.adoñ se faqat bahlā hī jaatā hai
jo aa kar ḳhvāb meñ bhī zehn-o-dil par chhā hī jaatā hai
vo zulf-e-mushkbū se qasr-e-dil mahkā hī jaatā hai
kabhī vahshat-zada māhaul meñ apne hī saa.e se
hujūm-e-kashmakash meñ aadmī ghabrā hī jaatā hai''
har ik chehre pe aa.e jab nazar ik dūsrā chehra
fareb-e-rañg-o-bū insān aksar khā hī jaatā hai
jise apnā samajhtā thā parāyoñ se bhī hai bad-tar
mirī auqāt aa kar vo mujhe batlā hī jaatā hai
parā.e aur apne dafn kar ke lauT aate haiñ
jo tanhā aayā hai duniyā se vo tanhā hī jaatā hai
jalāne aur bujhāne meñ mahārat hai jise hāsil
ulajh jaatī hai jo gutthī use suljhā hī jaatā hai
junūn-e-intihā-e-shauq ḳhizr-e-rāh ho jis kā
vo apnī manzil-e-maqsūd 'barqī' pā hī jaatā hai