Ahmad Ali Barqi Azmi

ibn-e-adam barsar paikar hai

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
ibn-e-ādam barsar paikār hai
garm zulm-o-jaur kā bāzār hai
dandanāte phir rahe haiñ shar-pasand
kaun āḳhir is kā zimmedār hai
bo rahā hai buġhz va nafrat ke vo biij
jis kī apnī zehniyat bīmār hai
hai aziiz apnā use shaḳhsī mafād
maslahat-bīñ aaj kā fankār hai
ḳhūn-e-insāñ kī tijārat ke liye
jis ko apnā fā.eda darkār hai
kartā hai barham nizām zindagī
sirf māl-o-zar se us ko pyaar hai
dekh kar chaliye zarā dām-e-fareb
vo shikārī darpai-e-āzār hai
rakhiye gird-o-pesh par apne nazar
gul ke pahlū meñ vo dekheñ ḳhaar hai
jis kī nazroñ meñ barābar hoñ sabhī
mulk-o-millat kā vahī me.amār hai
haq ne dī hai aap ko vo aql-e-kul
jo mohabbat kī alam-bardār hai
aao mil-jul kar use ham tai kareñ
zindagī kā jo safar dushvār hai
bhaa.ī chāre kī fazā qaa.em kareñ
aap kā 'barqī' yahī ġham-ḳhvār hai
Top Urdushayar.com