ajab ḳhūñ-chakāñ karbalā kā samāñ thā
the sab tishna-lab aur dariyā ravāñ thā
musībat ke māroñ kā ik kārvāñ thā
har ik ġham-zada būḌhā bachcha javāñ thā
thā ik ālam-e-hashr har samt goyā
thā bad-hāl har shaḳhs jo bhī jahāñ thā
sisakte the bachche bilaktī thiiñ maa.eñ
jo insān bhī pyaas se nā-tavāñ thā
sitam aaj bhī us kā vird-e-zabāñ hai
yazīd-e-la.īñ jo vahāñ hukmarāñ thā
thā ḳhemoñ meñ kohrām jo jal rahe the
har ek samt jaise dhuāñ hī dhuāñ thā
huā karbalā meñ jo qurbān 'barqī'
husain ibn-e-haidar kā vo ḳhāndāñ thā