Ahmad Ali Barqi Azmi

dekha tha jo bhi KHwab mein ab kya hai kuchh nahin

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
dekhā thā jo bhī ḳhvāb meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
is husn aur shabāb meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
mere liye to jaise vo kāġhaz kā phuul thā
us ḳhushnumā gulāb meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
ab haiñ kitāb-e-zīst ke aurāq muntashir
is ke har ek baab meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
mujh ko dikhā rahā thā abhī tak vo sabz baaġh
hai zindagī azaab meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
ḳhush-fahmī ke shikār the va.ade pe jis ke sab
kyā kyā milā hisāb meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
jo kuchh bachā ke rakkhā thā ā.inda ke liye
sab mil gayā vo aab meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
merā savāl us ke liye lā-javāb thā
jo kuchh milā javāb meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
kal tak samajh rahā thā jise jān-e-ārzū
is husn-e-intiḳhāb meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
raushan thī jin se sham-e-shabistān-e-zindagī
yādoñ ke is sarāb meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
jo lutf us kī nuqra.ī āvāz meñ milā
is chañg aur rabāb meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
'barqī' thā jis kā rū-e-hasīñ misl-e-māhtāb
us rashk-e-māhtāb meñ ab kyā hai kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com