mushtahar naam karo tum mirā aḳhbāroñ meñ
maiñ to shāmil huuñ mohabbat ke gunahgāroñ meñ
mar ke bhī zinda-e-jāved haiñ fankār-e-azīm
jo nazar aate haiñ tārīḳh ke shah-pāroñ meñ
vaqt ke saath badal jaate haiñ jin ke atvār
mujhe shāmil na karo aise qalam-kāroñ meñ
log ab ghar se nikalte hue yuuñ Darte haiñ
nazr-e-dahshat kahīñ ho jaa.eñ na bāzāroñ meñ
jin ke sur taal haiñ ab raunaq-e-bāzār-e-adab
baT ga.ī bazm-e-suḳhan aise adākāroñ meñ
koī letā hī nahīñ bulbul-e-shaidā kī ḳhabar
buum aate haiñ nazar shāḳh pe gulzāroñ meñ
aaj mafqūd hai vo jazba-e-ashāb-e-rasūl
raqs karte the jo talvār kī jhankāroñ meñ
jis ke aslāf kī azmat ke nishāñ haiñ har sū
jaa.e ibrat hai vahī qaum hai nādāroñ meñ
log kahte haiñ use qasr-e-tamannā apnā
jis ke aslāf the apne kabhī me.amāroñ meñ
jo kabhī mere ishāroñ pe chalā karte the
ḳhū-e-iḳhlās vo baaqī na rahī yāroñ meñ
naam hai saf.ha-e-hastī se ab un kā ġhā.eb
mulk-o-millat ke jo 'barqī' the vafādāroñ meñ