lauT kar jaise daur-e-shabāb aa gayā
aap kyā aa ga.e inqalāb aa gayā
is tarah dil ke armān puure hue
nāma-bar le ke ḳhat kā javāb aa gayā
dekhne ko tarastī thiiñ āñkheñ jise
sāmne vo mire be-hijāb aa gayā
gulshan-e-dil pe ik tāzgī chhā ga.ī
ban ke vo ik mujassam gulāb aa gayā
ālam-e-ḳhvāb meñ jis ko paḌhtā thā maiñ
rū-e-zebā kī le kar kitāb aa gayā
jis ke jaane se tārīk thī zindagī
ḳhāna-e-dil meñ bā-āb-o-tāb aa gayā
zehn mā.ūf thā ginte ginte jise
aaj 'barqī' vo roz-e-hisāb aa gayā