Ahmad Ali Barqi Azmi

nazar bacha ke wo humse guzar gae chup-chap

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
nazar bachā ke vo ham se guzar ga.e chup-chāp
abhī yahīñ the na jaane kidhar ga.e chup-chāp
huī ḳhabar bhī na ham ko kab aa.e aur ga.e
nigāh-e-nāz se dil meñ utar ga.e chup-chāp
dikhā.ī ek jhalak aur ho ga.e rū-posh
tamām ḳhvāb achānak bikhar ga.e chup-chāp
ye dekhne ke liye muntazir haiñ kyā vo bhī
dayār-e-shauq meñ ham bhī Thahar ga.e chup-chāp
kareñge aisā vo is kā na thā hameñ ehsās
vo qaul-o-fe.al se apne mukar ga.e chup-chāp
fasīl-e-shahr ke bāhar nahīñ kisī ko ḳhabar
bahut se ahl-e-hunar yūñhī mar ga.e chup-chāp
dikhā rahe the hameñ sabz baaġh vo ab tak
unheñ jo karnā thā 'barqī' vo kar ga.e chup-chāp
Top Urdushayar.com