hasb-e-va.ada mujh se milne vo kabhī aayā nahīñ
is se baḌh kar aur kuchh bhī hausla-farsā nahīñ
hijr thā is kā bahut sabr-āzmā mere liye
ġham se patthar ho gayā lekin kabhī royā nahīñ
da.avat-e-nazzāra de kar aisā vo ġhā.eb huā
merī āñkhoñ ne dobāra phir use dekhā nahīñ
kāTne ko dauḌte haiñ mujh ko ye dīvār-o-dar
jaise maiñ tanhā huuñ vaise koī bhī tanhā nahīñ
murta.ish rahtā hai ab har dam mirā tār-e-vajūd
kyā guzartī hai mire dil par kabhī kahtā nahīñ
kar rahā huuñ apnī ye tarhī ġhazal nazr-e-'munīr'
aisā shā.ir aaj tak maiñ ne kabhī dekhā nahīñ
kar ke is ke va.ada-e-fardā pe 'barqī' e'tibār
maiñ ka.ī din tak musalsal rāt-bhar soyā nahīñ