rū-e-zebā ko dikhāte haiñ chale jaate haiñ
kyuuñ nazar mujh se milāte haiñ chale jaate haiñ
hasrat-e-dil mirī rah jaatī hai dil hī meñ mire
farz kyā aise nibhāte haiñ chale jaate haiñ
aap se aisī tavaqqo.a na kabhī thī mujh ko
sham-e-ummīd bujhāte haiñ chale jaate haiñ
kuchh to ādāb-e-mohabbat kā kareñ pas-o-lihāz
kyā yūñhī dil ko lagāte haiñ chale jaate haiñ
chāragar haiñ to kareñ aa ke mirī chāragarī
dard-e-dil aur baḌhāte haiñ chale jaate haiñ
haar hī haar ho jaise mirī qismat meñ likhī
jiit kā jashn manāte haiñ chale jaate haiñ
tursh-rūī kabhī hotī nahīñ itnī achchhī
aate hī rañg jamāte haiñ chale jaate haiñ
yūñhī ghuT ghuT ke marūñ hijr meñ kab tak un ke
maut vo merī bulāte haiñ chale jaate haiñ
de ke darvāza-e-dil par mire aksar dastak
niiñd rātoñ kī uḌāte haiñ chale jaate haiñ
aap kā kyā hai jaleñge to jaleñge ham log
aap to aag lagāte haiñ chale jaate haiñ
raushnī aap kā darkār hai shāyad us se
ḳhāna-e-dil ko jalāte haiñ chale jaate haiñ
aap ko dil hai milānā to milā.eñ ba-ḳhushī
duur se haath milāte haiñ chale jaate haiñ
is se behtar thā ki aate na abhī mere paas
aap kuchh der ko aate haiñ chale jaate haiñ
aap se dil ko lagānā hai sazā mere liye
ḳhūn-e-dil merā jalāte haiñ chale jaate haiñ
kījiye kuchh to mohabbat kā mirī pas-o-lihāz
kyā isī tarah se aate haiñ chale jaate haiñ
aap kā farz hai apnī kahīñ merī bhī suneñ
hāl-e-dil apnā sunāte haiñ chale jaate haiñ
aap se kis ne kahā thā ki abhī aa jaa.eñ
aa ke 'barqī' ko satāte haiñ chale jaate haiñ