Ahmad Ali Barqi Azmi

gardish jise matlub hai gulzar mein aawe

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
gardish jise matlūb hai gulzār meñ aave
hai ishq jise vādī-e-pur-ḳhār meñ aave
ik roz kabhī shakl-e-ḳharīdār meñ aave
dekhe to zarā kūcha-o-bāzār meñ aave
jaate hue jaave hai azīzoñ ko rulā kar
maulūd jo rotā huā sansār meñ aave
huuñ sāmne maiñ us ke vo maare ki jalāve
manzūr hai jo bhī nigah-e-yār meñ aave
badnām agar hogā to kyā naam na hogā
hai shauq use surḳhi-e-aḳhbār meñ aave
dāvat kā agar shauq hai jaave vo kahīñ aur
karne ko siyāsat na vo iftār meñ aave
ā.īne meñ shakl us kī dikhā degā vo us ko
'barqī' ke agar lutf use ash.ār meñ aave
Top Urdushayar.com