sukūn-e-qalb kisī ko nahīñ mayassar aaj
shikast-e-ḳhvāb hai har shaḳhs kā muqaddar aaj
hai vaz-e-hāl mirī kyuuñ ye bad se bad-tar aaj
amīr-e-shahr ke badle hue haiñ tevar aaj
har ek shaḳhs hai apne hisār meñ mahsūr
hai sab ke darpai āzār vo sitamgar aaj
kiyā hai gardish-e-daurāñ ne dar-ba-dar sab ko
jo sar meñ pahle thā vo paañv meñ hai chakkar aaj
samajh rahā thā jise ḳhair-ḳhvāh maiñ apnā
vahī hai dushman-e-jāñ merā sab se baḌh kar aaj
fasīl-e-shahr ke andar the kitne ahl-e-hunar
nahīñ hai jin se shanāsā koī bhī bāhar aaj
vo dars lete nahīñ jañg-e-karbalā se koī
jo saf-shikan the vo haiñ dushmanoñ se shashdar aaj
vo qaum kaise taraqqī karegī duniyā meñ
nahīñ hai jis kā kahīñ koī ek rahbar aaj
bikhar ke rah gayā ḳhud jin kā apnā shīrāza
samajh rahe haiñ ki haiñ vaqt ke sikandar aaj
agar muhāsba apnā kareñ to pā.eñge
nahīñ hai ham se jahāñ meñ koī bhī bad-tar aaj
jo apne haath se kashtī jalāte the apnī
nahīñ mileñge kahīñ aise vo qalandar aaj
dikhā rahā hai mujhe sabz-bāġh jo 'barqī'
vo le ke phirtā hai kyuuñ āstīñ meñ ḳhanjar aaj