us kī duzdīda-nigāhī dekhnā achchhā lagā
bhiiḌ meñ ik ajnabī kā sāmnā achchhā lagā
jis kī tasvīr-e-tasavvur zehn meñ mahfūz hai
jāda-e-ulfat meñ us ko DhūñDhnā achchhā lagā
gholnā kānoñ meñ ras shīrīnī-e-guftār se
rūh-parvar us kā hañsnā bolnā achchhā lagā
murta.ish hotā hai jis ko dekh kar tār-e-nafas
us kā zulf ḳham-ba-ḳham kā kholnā achchhā lagā
dil se dil ko raah hotī hai ye hai us kā subūt
jaate jaate us kā muḌ kar dekhnā achchhā lagā
vajd-āvar thā gul-o-bulbul kā rabt-e-bāhamī
ġhuncha-o-gul se chaman meñ khelnā achchhā lagā
hai jahān-e-rañg-o-bū meñ husn jis kā intiḳhāb
us kā honā bazm meñ jalva-numā achchhā lagā
mere siine meñ dhaḌaktā hai dil-e-dard-āshnā
is liye TuuTe hue dil joḌnā achchhā lagā
mun.akis har chiiz meñ hotā hai 'barqī' jis kā aks
us kā chehra ā.ina-dar-ā.ina achchhā lagā