Ahmad Ali Barqi Azmi

sarak rahi hai uski chilman masha-allah masha-allah

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
sarak rahī hai us kī chilman māshā-allāh māshā-allāh
shāyad ab vo degā darshan māshā-allāh māshā-allāh
garaj rahā hai bādal ghan-ghan māshā-allāh māshā-allāh
bajtī hai us kī paa.el jhan-jhan māshā-allāh māshā-allāh
baras rahā hai pyaar kā sāvan māshā-allāh māshā-allāh
Dol rahā hai jis se tan-man māshā-allāh māshā-allāh
chaltā phirtā hai mai-ḳhāna jis kī ye chashm-e-masatāna
us kī surāhī-dār hai gardan māshā-allāh māshā-allāh
apne hī husn pe jaise ho shaidā dekh rahā hai jalva-e-zebā
sāmne rakh kar apne darpan māshā-allāh māshā-allāh
mor kā raqs use nahīñ bhātā apnī chaal pe hai itrātā
naach na jaane TeḌhā āñgan māshā-allāh māshā-allāh
ġhuncha-o-gul kī hai ye zabāñ par sab hī fidā us sarv-e-ravāñ par
zikr hai us kā gulshan gulshan māshā-allāh māshā-allāh
'barqī' hai jis kā dīvāna ho ke fidā misl-e-parvāna
maar na Daale us kī chitvan māshā-allāh māshā-allāh
Top Urdushayar.com