Ahmad Ali Barqi Azmi

jab se mein ne dekha hai ek KHushnuma chehra

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
jab se meñ ne dekhā hai ek ḳhushnumā chehra
tab se hai nigāhoñ meñ us kā chāñd sā chehra
sūrat aur sīrat meñ imtiyāz mushkil hai
hai har ek chehre par ek dūsrā chehra
ek aur do hī meñ zehn thā parāganda
aa gayā kahāñ se ye ek tīsrā chehra
bā-vafā samajhtā thā jis ko bevafā niklā
roz vo badaltā hai ik na ik nayā chehra
thā naqāb meñ ab tak be-hijāb jab dekhā
faash ho gayā āḳhir us kā bad-numā chehra
duur se samajhte the jis ko chāñd kā TukḌā
jab qarīb se dekhā thā vo khurdurā chehra
merī chashm-e-bātin se kuchh nahīñ hai poshīda
hai zabān-e-dil 'barqī' ā.ina-numā chehra
Top Urdushayar.com