Ahmad Ali Barqi Azmi

taKHta-e-mashq-e-sitam mujhko banane wala

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
taḳhta-e-mashq-e-sitam mujh ko banāne vaalā
thā vahī roz mire ḳhvāb meñ aane vaalā
muntashir kar diyā shīrāza-e-hastī jis ne
ḳhāna-e-dil ko mire thā vo sajāne vaalā
roz kartā rahā vo vāda-e-fardā mujh se
umr bhar ahd-e-vafā thā jo nibhāne vaalā
us ne mañjdhār meñ kashtī ko mirī chhoḌ diyā
thā jo tūfān-e-havādis se bachāne vaalā
pahle kartā thā pas-e-parda mirī beḳh-kunī
kāmyābī kā mirī jashn manāne vaalā
sābiqa jis se paḌā maslahat-andesh thā vo
''dost hotā nahīñ har haath milāne vālā''
maar Daale na ye tanhā.ī kā ehsās mujhe
muntazir jis kā thā ab vo nahīñ aane vaalā
jis se dil-jūī kī ummīd thī niklā vo raqīb
jis ko dekho hai vahī mujh ko satāne vaalā
aish-o-ishrat ke sadā ḳhvāb dikhātā thā use
ġhamza-o-nāz se 'barqī' ko lubhāne vaalā
Top Urdushayar.com