Ahmad Ali Barqi Azmi

wo jalwa-gah-e-naz mein jis waqt aa gae

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
vo jalva-gāh-e-nāz meñ jis vaqt aa ga.e
nāz-o-adā se hosh sabhī ke uḌā ga.e
dil meñ vo aa ke hasrat-o-armāñ jagā ga.e
ummīd ke charāġh jalā kar bujhā ga.e
is tarah apnā jalva-e-zebā dikhā ga.e
aa kar nigāh-e-shauq se dil meñ samā ga.e
naḳhl-e-murād phūloñ se merā sajā ga.e
vo aa ga.e to saarī bahāroñ pe chhā ga.e
kab tak yūñhī dikhā.eñge ham ko vo sabz-bāġh
rasm-e-vafā nibhānī thī jin ko nibhā ga.e
ham arz-e-mudda.ā bhī na kuchh un se kar sake
aayā jo dil meñ un ke hameñ vo sunā ga.e
ma.alūm thā na itne talavvun mizāj haiñ
vo ho ga.e unhīñ ke unheñ jo bhī bhā ga.e
soz-e-darūñ ne kar diyā jiinā mirā harām
ik aag aisī dīda-o-dil meñ lagā ga.e
armāñ the jitne jal ke sabhī ḳhaak ho ga.e
dil par vo aisī barq-e-tabassum girā ga.e
tark-e-ta.alluqāt meñ un ko lagī na der
auqāt merī kyā hai mujhe vo batā ga.e
qaa.em ḳhumār us kā hai 'barqī' abhī talak
apnī nigāh-e-nāz se vo jo pilā ga.e
Top Urdushayar.com