āvāz kā us kī zer-o-bam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e
kitnā dilkash thā merā sanam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e
kis darja hasīñ thā vo lamha jo qissa-e-pārīna hai ab
jab us kī nazar meñ the bas ham kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e
go aise lamhe kam aa.e lekin haiñ vo merā sarmāya
kab kab vo huā mā.il-ba-karam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e
vo rūThne aur manāne kā ehsās abhī tak baaqī hai
kyā kyā the us ke qaul-o-qasam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e
vo ḳhvāb dikhātā thā mujh ko maiñ is pe bharosa kartā thā
qaa.im na rahā va.adoñ kā bharam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e
aa.e ho abhī jaate ho kahāñ is kā ye kahnā abhī aayā
kar denā mirī phir naak meñ dam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e
ye bhūlī-bisrī yādeñ haiñ sarmāya-e-zīst mirā 'barqī'
kis tarah karūñ meñ is ko raqam kuchh yaad rahā kuchh bhuul ga.e