Ahmad Ali Barqi Azmi

kar ke asir-e-ghamza-o-naz-o-ada mujhe

Ahmad Ali Barqi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1954
kar ke asīr-e-ġhamza-o-nāz-o-adā mujhe
ai dil-navāz tū ne ye kyā de diyā mujhe
jaanā thā itnī jald to aayā thā kis liye
ek ek pal hai hijr kā sabr-āzmā mujhe
bujhne lagī hai sham-e-shabistān-e-ārzū
ab sūjhtā nahīñ hai koī rāstā mujhe
āñkheñ thiiñ farsh-e-rāh tumhāre liye sadā
tum aas paas ho yahīñ aisā lagā mujhe
ye dard-e-dil hai mere liye ab vabāl-e-jāñ
miltā nahīñ kahīñ koī dard-āshnā mujhe
kashti-e-dil kā sauñp diyā jis ko nazm-o-nasq
detā rahā fareb vahī nāḳhudā mujhe
rahzan se baḌh ke us kā ravayya thā mere saath
pahlī nigāh meñ jo lagā rahnumā mujhe
ab maiñ huuñ aur ḳhvāb-e-pareshāñ hai mere saath
kitnā paḌegā aur abhī jāgnā mujhe
kyā ye junūn-e-shauq gunāh-e-azīm hai
kis jurm kī milī hai ye āḳhir sazā mujhe
'barqī' na ho udaas sar-e-rahguzar hai vo
paiġhām de ga.ī hai ye bād-e-sabā mujhe
Top Urdushayar.com