zāviye bahāroñ ke sab hasīn hote haiñ
jhuuT ke sabhī mausam be-yaqīn hote haiñ
ham bhī jaan kar un se ahd-o-paimāñ karte haiñ
us ke jhūTe va.ade bhī dil-nashīn hote haiñ
jhelte haiñ saarā dukh lab pe kuchh nahīñ laate
dard kī rifāqat ke jo amiin hote haiñ
siip meñ hī rahte haiñ sūrat-e-sadaf ban kar
dil meñ yaad ke motī yuuñ makīn hote haiñ
ustuvār rakhte haiñ zindagī se sab rishte
ishq karne vaale bhī kyā zahīn hote haiñ