bharī bahār meñ dāman-e-darīda haiñ ham log
hameñ thā zo.am bahār-āfrīda haiñ ham log
ye aur baat ki dāman-darīda haiñ ham log
ba-faiz-e-ishq magar sar-kashīda haiñ ham log
ham ā.īna haiñ magar aks-e-zāt se mahrūm
tirī sadā haiñ magar nā-shunīda haiñ ham log
jahāñ jahāñ bhī ga.e haiñ mahak uThī hai fazā
tire firāq kī bū-e-rasīda haiñ ham log
kaḌī hai dhuup shajar hai na sāya-e-dīvār
bichhaḌ ke us se sukūñ-nā-chashīda haiñ ham log
ye kis ne ā.ina-sāzī kā fan kiyā ījād
ye aa.ine haiñ ki chehra-burīda haiñ ham log