ġham ki thā harīf-e-jāñ ab harīf-e-jānāñ hai
ab vo zulf-e-barham hai ab vo chashm-e-giryāñ hai
vus.atoñ meñ dāman kī in dinoñ garebāñ hai
ham-nafas kahīñ shāyad mausam-e-bahārāñ hai
rañg-o-bū ke parde meñ kaun ye ḳhirāmāñ hai
har nafas mo.attar hai har nazar ġhazal-ḳhvāñ hai
bandagī ye kyā jaane dair kyā haram kyā hai
ham jahāñ pe haiñ vaa.iz kufr hai na īmāñ hai
shukriya magar nāseh tū ye raaz kyā samjhe
jaur-e-barmalā un kā iltifāt-e-pinhāñ hai