chaman meñ ātish-e-gul bhī nahīñ dhuāñ bhī nahīñ
bahār to ye nahīñ hai magar ḳhizāñ bhī nahīñ
bichhaḌ ga.e haiñ kahāñ ham-safar ḳhudā jaane
nuqūsh-e-pā bhī nahīñ gard-e-kārvāñ bhī nahīñ
tavāf-e-ka.aba kiyā but-kada bhī dekh aa.e
sukūn-e-qalb yahāñ bhī nahīñ vahāñ bhī nahīñ
qafas hai gosha-e-rāhat qafas hai dār-e-amāñ
ġham-e-chaman bhī nahīñ fikr-e-āshiyāñ bhī nahīñ
kahāñ ke giit kahāñ kī ġhazal ki ham-suḳhano
bahut dinoñ se hameñ jur.at-e-fuġhāñ bhī nahīñ