zaḳhm kab kā thā dard uThā hai ab
us ke jaane kā dukh huā hai ab
merī āñkhoñ meñ ḳhvāb haiñ jis ke
us kī āñkhoñ meñ rat-jagā hai ab
sunte aate haiñ qāfila dil kā
rahguzar meñ kahīñ rukā hai ab
vo jo patthar kā thā musāfir vo
shahr-e-afsūñ se aa gayā hai ab
jo mirī ḳhvāhishoñ kī manzil thī
us ke aane kā rāsta hai ab
jis ko DhūñDā thā maiñ ne har jānib
mere dil meñ kahīñ chhupā hai ab
kitne ḳhvāboñ meñ rañg us ke haiñ
kitnī āñkhoñ se dekhtā hai ab
kitne mausam haiñ sirf us ke liye
kitne chehroñ pe vo sajā hai ab
kitnī bātoñ meñ us kī bāteñ haiñ
kitne lahjoñ meñ boltā hai ab
jo tire shahr le ke aatā thā
ruḳh vo dariyā badal rahā hai ab
aao dastak hī de ke dekheñ to
vahī darvāza phir khulā hai ab
is havāle se zindagī merī
ghane jañgal kā silsila hai ab
ek dīvāna apnī vahshat meñ
baat kahne kī kah gayā hai ab