lab tak aayā gila hamesha se
aur maiñ chup rahā hamesha se
sab havāoñ se jañg kartā rahā
ek nanhā diyā hamesha se
soch par lag sakī na pābandī
yuuñ hī aa.ī havā hamesha se
kitnī shakleñ badal ke aatā hai
ik vahī vāqi.a hamesha se
baat āsūdgī kī hotī hai
kaun kis ko milā hamesha se
yaad kartā rahā kisī ko koī
phuul dil meñ khilā hamesha se
us nigah ke sabab se paayā hai
sab ne apnā patā hamesha se
adl fariyād se milā na kabhī
vaqt chīḳhā kiyā hamesha se
ye fareb-e-vafā nayā to nahīñ
yuuñ hī hotā rahā hamesha se
sab use DhūñDte rahe aur vo
yuuñ hī chhuptā rahā hamesha se
bachche sun kar kahānī kahte haiñ
yuuñ hī kaise huā hamesha se
zindagī itnī rā.egāñ kyuuñ hai
kyuuñ na vo mil sakā hamesha se
vo jo dariyā ke biich rahtā hai
vahī pyāsā milā hamesha se
sab parinde fazā meñ uḌte haiñ
jaal bichhtā rahā hamesha se
kārvāñ rāste meñ chalte rahe
rāsta chup rahā hamesha se
qīmtī thā havā-e-ġham ke liye
ek dil kā diyā hamesha se
chhoTī chhoTī sī ḳhvāhishoñ ke liye
koī zinda rahā hamesha se
dil hai kyā chiiz hal huā na kabhī
merā ye mas.ala hamesha se
har musāfir ke saath aatā hai
ik nayā rāsta hamesha se
aaj tak ye nahīñ khulā aadil
kyā huā faisla hamesha se
huī dar-asl maat kis ko yahāñ
jiit meñ kaun thā hamesha se