Tajdar Adil

jo mil gaya hai yahan jalwa-e-KHayali hai

Tajdar Adil

1955
jo mil gayā hai yahāñ jalva-e-ḳhayālī hai
ye baat ham ne mohabbat meñ aazmā lī hai
ajiib saltanat-e-ishq meñ nizām milā
jo bādshāh nazar aatā hai ik savālī hai
tumhārī yaad baḌhī aur dil huā raushan
ye ek sham.a añdhere ne ḳhud jalā lī hai
hunar kī aag jalā.ī hai ḳhaak se us ne
kamāl us kā hī hai merī be-kamālī hai
sadā ye sochtā huuñ us kā faiz kyā likkhūñ
ki merā dost bhī aur aadmī misālī hai
kabhī diyā bhī hai lamha kisī ko chāhat kā
to zindagī ne ye fursat kabhī churā lī hai
kirāya-dārī vasīla hai apne jiine kā
tum aanā chāho to dil kā makān ḳhālī hai
kabhī to jhāñko zarā is kī aag ke pīchhe
ye aadmī ki jo zāhir meñ lā-ubālī hai
Top Urdushayar.com