Tajdar Adil

tilism-e-ishq tha sab us ka sath hone tak

Tajdar Adil

1955
tilism-e-ishq thā sab us kā saath hone tak
ḳhayāl-e-dard na aayā najāt hone tak
milā thā hijr ke raste meñ sub.h kī mānind
bichhaḌ gayā thā musāfir se raat hone tak
ajiib rañg ye bastī hai us kī nagrī bhī
har ek nahr ko dekhā furāt hone tak
vo is kamāl se khelā thā ishq kī baazī
maiñ apnī fat.h samajhtā thā maat hone tak
hai isti.āra ġhazal us se baat karne kā
yahī vasīla hai ab us se baat hone tak
maiñ us ko bhūlnā chāhūñ to kyā karūñ 'ādil'
jo mujh meñ zinda hai ḳhud merī zaat hone tak
Top Urdushayar.com