luuT le sarmāya-e-dil luuT le
ai fareb-e-chashm-e-qātil luuT le
mujh se faiyyaz-e-mohabbat hai koī
kah rahā huuñ ḳhud mirā dil luuT le
ye tamannā hai ki koī rāhzan
kārvān-e-manzil-e-dil luuT le
lutf jab hai terī duzdīda nazar
aañkh milte hī mirā dil luuT le
sūrat-e-parvāna huuñ maiñ bazm meñ
mujh ko tū ai sham-e-mahfil luuT le
husn kī āzādiyoñ kā zikr kyā
husn agar chāhe to mahfil luuT le
'auj' kī bhī kā.enāt-e-jān-o-dil
o but-e-zohra-shamā.il luuT le