qadr-e-vafā bhī hogī kisī din jafā ke ba.ad
lā.egā rañg-e-ḳhūn-e-shahīdāñ hinā ke ba.ad
hotā hai inqalāb jahāñ har adā ke ba.ad
bebāk bhī banoge kabhī tum hayā ke ba.ad
laa.e haiñ phuul ahl-e-mohabbat kī qabr par
kyā yaad aa gayā unheñ tark-e-jafā ke ba.ad
ka.abe meñ mujh se shān-e-butāñ pūchhte ho shaiḳh
tauba meñ un kā zikr karūñgā ḳhudā ke ba.ad
un kī kamar kā koī pata hī nahīñ kahīñ
ye dūsrā tilism-e-nazar hai humā ke ba.ad
baiThī hai le ke ab mujhe āġhosh meñ zamīñ
ārām se huuñ kunj-e-lahad meñ qazā ke ba.ad
ahl-e-vafā milegā na mujh sā jahān meñ
pachhtā.eñge vo 'auj' ḳhud āḳhir jafā ke ba.ad