Raj Bahadur Saxena Auj

aaghosh-e-ehtiyat mein rakh lun jigar kahin

Raj Bahadur Saxena Auj

āġhosh-e-ehtiyāt meñ rakh luuñ jigar kahīñ

Dartā huuñ le uḌe na kisī nazar kahīñ

ġhurbat meñ ajnabī bhī hotā hai ghar kahīñ

din-bhar kahīñ guzāriye rāt-bhar kahīñ

aġhyār huuñ kahīñ but-e-shorīda-sar kahīñ

sab kuchh ho aah meñ to ho apnī asar kahīñ

yuuñ uf na bāġh-e-dahr meñ barbādī ho koī

bulbul āshiyāñ hai kahīñ bāl-o-par kahīñ

maiñ aaj apnī aah kartā huuñ imtihāñ

hoñ āsmāñ zamīn na zer-o-zabar kahīñ

qaid-e-qafas meñ hasrat-e-parvāz kyuuñ rahe

sayyād jo uḌā de mire bāl-o-par kahīñ

rahtī hai un yaad mire dil meñ har ghaḌī

'auj' un ke dil meñ kaash ho merā bhī ghar kahīñ

Top Urdushayar.com