Umair Najmi

jahan bhar ki tamam aankhen nichoD kar jitna nam banega

Umair Najmi

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1986
jahān bhar kī tamām āñkheñ nichoḌ kar jitnā nam banegā
ye kul milā kar bhī hijr kī raat mere girye se kam banegā
maiñ dasht huuñ ye muġhālta hai na shā.irāna mubālaġha hai
mire badan par kahīñ qadam rakh ke dekh naqsh-e-qadam banegā
hamārā lāsha bahāo varna lahad muqaddas mazār hogī
ye surḳh kurtā jalāo varna baġhāvatoñ kā alam banegā
to kyuuñ na ham pāñch saat din tak mazīd socheñ banāne se qabl
mirī chhaTī his batā rahī hai ye rishta TūTegā ġham banegā
mujh aise logoñ kā TeḌh-pan qudratī hai so e'tirāz kaisā
shadīd nam ḳhaak se jo paikar banegā ye tai hai ḳham banegā
sunā huā hai jahāñ meñ be-kār kuchh nahīñ hai so jī rahe haiñ
banā huā hai yaqīñ ki is rā.egānī se kuchh aham banegā
ki shāhzāde kī ādateñ dekh kar sabhī is par muttafiq haiñ
ye juuñ hī hākim banā mahal kā vasī.a raqba haram banegā
maiñ ek tartīb se lagātā rahā huuñ ab tak sukūt apnā
sadā ke vaqfe nikāl is ko shurūa se sun ridham banegā
safed rūmāl jab kabūtar nahīñ banā to vo sho.abada-bāz
palaTne vāloñ se kah rahā thā ruko ḳhudā kī qasam banegā
Top Urdushayar.com