Junaid Akhtar

pine mein ehtiyat ziyaada nahin rahi

Junaid Akhtar

piine meñ ehtiyāt ziyāda nahīñ rahī
phir mai-kade meñ baat ziyāda nahīñ rahī
arz-o-samā bhī haath se mere nikal ga.e
muTThī meñ kā.enāt ziyāda nahīñ rahī
phir ye huā ki vaqt kahīñ jā ke kho gayā
din jab ghaTā to raat ziyāda nahīñ rahī
maiñ zindagī meñ bārhā talvār par chalā
mushkil pa.e sirāt ziyāda nahīñ rahī
phir ye huā ki vaqt ne manzar chhupā liye
īd-e-tasavvurāt ziyāda nahīñ rahī
kī zindagī kī ham ne mudārāt umr-bhar
us par bhī ek raat ziyāda nahīñ rahī
mahsūs ho rahā hai tire hāl-e-zār se
'aḳhtar' tirī hayāt ziyāda nahīñ rahī
Top Urdushayar.com