Junaid Akhtar

wo log to aaankhon se bhi dekha nahin karte

Junaid Akhtar

vo log to ā.ankhoñ se bhī dekhā nahīñ karte
jo dil ke darīchoñ ko kabhī vā nahīñ karte
aisī hī kashākash meñ ulaT jaatī hai duniyā
sambhle na agar dil to sambhālā nahīñ karte
rakhte haiñ mohabbat ko taġhāful meñ chhupā kar
parvā hī to karte haiñ jo parvā nahīñ karte
hogā koī ham jaisā kahāñ hijr-gazīda
mātam bhī to tanhā.ī kā tanhā nahīñ karte
is chāk-garebānī pe samjhāne lage sab
dhāge bhī ye kahte haiñ ki uljhā nahīñ karte
kahte haiñ sabhī sust magar aap kaheñ kyuuñ
kah deñ jo kabhī aap to ham kyā nahīñ karte
'aḳhtar' ko burā kahte koī baat nahīñ thī
'ġhālib' ko burā kahte ho achchhā nahīñ karte
Top Urdushayar.com