aks-e-ḳhayāl-e-yār sañvārā kareñge ham
shīshe meñ aa.ine ko utārā kareñge ham
sahrā meñ e'timād ke gum-sum samā.ateñ
kuchh log kah rahe the pukārā kareñge ham
gardan kaTī hai haath bhī shānoñ se kaT ga.e
qātil kī samt kaise ishāra kareñge ham
mere ḳhilāf vo bhī samundar se mil ga.e
dariyā to kah rahe the kinārā kareñge ham
chādar se jab na chhup sakā sukḌā huā badan
khul kar ab apne paañv pasārā kareñge ham
sāñsoñ kī tarah ye bhī haiñ jiine ko lāzmī
choTeñ jo dab chukī haiñ ubhārā kareñge ham
'aḳhtar' hoñ jab sitāre sabhī āsmān par
phir kyuuñ kisī zamīñ pe guzārā kareñge ham