Junaid Akhtar

teri baaton ka ras udasi hai

Junaid Akhtar

terī bātoñ kā ras udāsī hai
mere dāman meñ bas udāsī hai
dūsrā jism hai ye miTTī kā
merā pahlā qafas udāsī hai
dhaḌkaneñ kārvāñ ḳharāboñ kā
un kī har ik jaras udāsī hai
muzmahil huuñ baḌe dinoñ se maiñ
mujh ko bāñhoñ meñ kas udāsī hai
ibn-e-ādam ke ġham batāte haiñ
kaisī kohna-nafas udāsī hai
kyā dikhātā kisī masīhā ko
maiñ to samjhā thā bas udāsī hai
din ḳhushī ke nikāl kar dekhe
umr kā har baras udāsī hai
dil kā 'aḳhtar' mazār siine meñ
ġham hai gumbad kalas udāsī hai
Top Urdushayar.com