saare to nahīñ jaan bachāne meñ lage haiñ
kuchh ghaav hameñ zaḳhm lagāne meñ lage haiñ
hai sab ko ḳhabar shaah ke chehre pe hai kālak
ā.īne magar saare chhupāne meñ lage haiñ
bech aa.e ise is ke nigahbān kabhī kā
ham log magar ghar ko sajāne meñ lage haiñ
baiThā hī nahīñ jaatā parindoñ meñ bhī ab to
be-par kī yahāñ ye bhī uḌāne meñ lage haiñ
marne pe khulī hai tire darvesh kī qīmat
patthar bhī sirhāne ke ḳhazāne meñ lage haiñ
sahrā meñ chalā aayā huuñ kuchh pyaas bujhā luuñ
dariyāoñ pe sab piine pilāne meñ lage haiñ
aa jā.egī chakkar meñ hamāre vo kisī din
ham gardish-e-daurāñ ko ghumāne meñ lage haiñ
lagtā hī nahīñ daur-e-mohabbat bhī kabhī thā
ab log yahāñ sirf kamāne meñ lage haiñ
us ne bhī to hai vaqt kī gardish ko sañvārā
'aḳhtar' se ka.ī chāñd zamāne meñ lage haiñ