Junaid Akhtar

koi mohlik si bimari hui hai

Junaid Akhtar

koī mohlik sī bīmārī huī hai
mohabbat aañkh se jaarī huī hai
terī riqqat kī shiddat se hai zāhir
ye mere naam par taarī huī hai
sazā hai ye ma.āshī hijratoñ kī
bahut masrūf bekārī huī hai
kabhī qismat ko bechārī na kahnā
ki ye taqdīr kī maarī huī hai
zabāñ chaltī nahīñ hai is tarah se
ye aarī kaaT se aarī huī hai
vo aise ḳhvāb the sote hue bhī
mirī fard-e-amal bhārī huī hai
yaqīñ ḳhud uTh gayā hai mujh se merā
mirī itnī taraf-dārī huī hai
mujhe jab bolnā aayā hai 'aḳhtar'
tabhī lafzoñ kī dildārī huī hai
Top Urdushayar.com