harza-sarā.ī bain-e-suḳhan aur baḌh ga.ī
sastā huā to qīmat-e-fan aur baḌh ga.ī
jaanā ki dost hī thā masīhā ke ruup meñ
dil par rakhā jo haath jalan aur baḌh ga.ī
jaane kahāñ se aa.ī thī kal raat ko havā
khiḌkī khulī to ghar meñ ghuTan aur baḌh ga.ī
pahle hī hāth-pāoñ hasīñ kam na the magar
rañg-e-hinā se un kī phaban aur baḌh ga.ī
yaum-e-jazā meñ fitna-e-mahshar kī ḳhair ho
pahle hī jo thī sarv-badan aur baḌh ga.ī
sahrā ko dekhne kā to bachpan se shauq thā
dil ko lagā liyā to lagan aur baḌh ga.ī
vo to mire manāne se 'aḳhtar' bigaḌ ga.e
māthe pe ek gahrī shikan aur baḌh ga.ī