ham ne to bain meñ nauhe meñ sadākārī kī
aaj dafnā dī hai mayyat bhī ravā-dārī kī
ham se bad-tar koī fankār jahāñ meñ hogā
ham adā-kāriyāñ karte haiñ adākārī kī
ham ne ġhairat kā baġhāvat kā alāpā dīpak
taan ūñchī hai magar aaj bhī darbārī kī
ham ko saa.e se bhī shāhoñ ke bachā kar rakhnā
ham pe aa jaa.e na tohmat bhī taraf-dārī kī
vo na māneñge ki ye ain ḳhatā hai un kī
vo jo yaarī ko bhī kahte haiñ ki ayyārī kī
ham to anjān the is ghar meñ hamārā kyā thā
tum to timsāl the duniyā meñ samajhdārī kī
jin se uThtī thiiñ siyah aag kī lapTeñ har dam
ham ne aisī bhī zamīnoñ meñ shajar-kārī kī
tum ko sote meñ bhī kab aañkh uThā kar dekhā
ham ne ḳhvāboñ meñ bhī ā.ankhoñ kī nigah-dārī kī