gir ke qadmoñ pe sar-e-bazm taḌapnā dekhā
marne vaale kā mirī jaan tamāshā dekhā
ik jahāñ terā tamāshā.ī hai sab ko hai ḳhabar
ā.īna dekh ke mujh ko ye batā kyā dekhā
khol kar naama mirā us ne paḌhā bhī ki nahīñ
nāma-bar merī taraf se use kaisā dekhā
dil jise kahte haiñ pahlū meñ kabhī vo hogā
ham ne to dil kī jagah dāġh-e-tamannā dekhā
kaun kahtā hai ki shohrat tire āshiq kī nahīñ
us ko to kūcha-o-bāzār meñ rusvā dekhā
ā.īna-ḳhāne meñ niklā na koī terā javāb
yahī kahtā thā mohabbat kā taqāzā dekhā
tum to masrūf rahe husn kī ārā.ish meñ
ham ne ā.īne meñ kal ik sitam-ārā dekhā
jal gayā tuur gire hazrat-e-mūsā ġhash meñ
kyā kaleja thā ki jis ne tirā jalva dekhā
ishq kī ye bhī karāmat hai agar tum samjho
tum ne apnā mirī āñkhoñ meñ samānā dekhā
TikTikī bāñdhe hue dekh rahā thā tum ko
tum ne 'shañkar' kā bhī mahfil meñ tamāshā dekhā